A Happy Freelance Web Developer: Sohail Abid

Zinda Dargor

Woh aik software house main kaam karta ha. 2 saal pehlay us nay yeh naukri shuru ki. Aur sirf 2 saal main woh project manager ban gaya ha. Us k dost us pe raskh kartay hain. Aur rishtay-dar fakhr…

Woh waqt pe daftar aata ha. Sub say haal poochta ha aur phir kaam main lag jata ha. Pehla aik ghanta us ki team farig rehti ha. Us waqt woh clients ki emails parhta ha aur aaj ke kaam ka taiyun karta ha. Phir woh sub ko un k hisay ka kaam batata ha. Aur sara din un saath khud bhi kaam karta ha. Sham ko sub k janay k baad clients ko email karta ha k kia kia kaam ho gaya ha aur kon sa rehta ha. Aur 6 baj jatay hain to woh ghar chala jata ha.

Ghar ja k woh chae pita ha. Ghar walon say batyin karta ha. Aur khana kha k apnay kamray main chala jata ha.

Aur kisi ko pata nahi chalta k woh mar chuka ha… Na daftar walon ko na ghar walon ko… Roz woh us say miltay hain par kisi ko andaza bhi nahi hota k woh zinda nahi raha… Sirf woh janta ha…

Yeh batanay ka koi faida nahi k mohabbat kab hui? kis say hui? mohabbat main kitna arsa guzra? kitnay khawb deekhay gaye? bachon k kia naam rakhay gaye? Aur… Kitni bar kaha gaya k main tumharay bina nahi jee sakta…

Sirf itna jan’na kafi ha k judai aa gai… Jaisay har mohabbat main aa jati ha… Aur rabtay munqata ho gaye… Oxygen kam par gai… Sansain laina dushwar ho gaya… Kisi ko pata nahi chala aur woh mar gaya…

Woh intizar kar raha ha kab dosron ko bhi pata chalay aur woh usay qabristan chor aayin…

3 Comments

  1. kainat on November 27th, 2007:

    Mujhay aik baat batain yeh aap ke apni true story hai kia? or agar hai bhe tu kisi kay janay say koi mar nai jata aap un kay lia zinda raho jo aap say itna pyar kertay hai aap kay ghar walay behan bhai ok God Bless u …. :) Keep Smiling Always

  2. dead on December 14th, 2007:

    the theme is my life’s………. the only difference is.. this guy was left by his lover.. n my love doesnt let me leave him… wants me to stay forever… as his wife.. :|.. but im dead.. i dun think i’ll be able to give him anything after wht he has done..

  3. dead on December 14th, 2007:

    waitning for others to know that i am dead.. so that they can burry me

Leave a Comment